Andheri Raat Hai Saaya Tu Ho Nahin Sakta
Ye Kaun Hai Jo Mere Saath Saath Chalta Hai
Tark-E-Tauluqaat Ko Aik Lamha Chahiye
Laikin Tamam Umar Mujhay Sochna Parra
Ab Ke Saal Poonam Mein Jab Too Aayegi Milne
Ham Ne Soch Rakha Hai Raat Yoon Guzaarenge
Dhadkanen Bicha Denge Shokh Taire Qadmon Par
Ham Herato Se Tujh Ko Dekha Karen Gen
Tu Ke Aaj Qatil Hai, Phir Bhe Rahat-E-Dil Hai
Zeher Ke Nadi Hai Tu, Phir Bhe Qeemti Hai Tu
Past Hoslay Walay Tera Sath Kya Dain Gai
Zindagi Idher Aa Ja Hum Tujhe Guzarain Gai
Aa’hani Kalejay Ko Zakhem Ke Zarorat Hai
Ungliyon Se Jo Tapkay Os Lahoo Ke Hajat Hai
Aap Zulf-E-Janan Ke Kham Sanwariye Sahab
Zindagi Ke Zulfon Ko Aap Kya Sanwarain Gai
Hum To Waqt Hein Pel Hein, Taiz Gam Ghariyan Hein
Baiqarar Lamhay Hein, Bai’takan Sadiyan Hein
Koi Sath Mein Apne, Aye Ya Nahi Aye
Jo Mile Ga Rastay Mein Hum Osay Pukarain Gai