Zindagi Meri Jaise Surkh Gulab
Kisi Ki Ankon Mei Ho Jaise Rubab
Hai Kisi Kei Liye Umeedoin Ka Sailab
Mukamal Karta Ho Jaise Kisi Ka Khwab
Ban Jata Hai Kisi Kei Liye Sawab
Ya Kanta Bankar Deta Hai Azab
Zindagi Meri Jaise Surkh Gulab
Nikhare Husn Jaise Ho Koi Aftab
Beekhere Muskurahat Jaise Ho Koi Mehtab
Yaadoin Ko Samette Hue Jaise Ho Koi Khohri Kitab
Milti Ho Kisiko Jaise Koi Khitab
Yun Toh Hai Iskei Kai Asbab
Jun Toh Ek Din Ho Jayegi Khakh
Zindagi Meri Jaise Surkh Gulab