Add Poetry

Zindagi Se Haar Jaon Ho Nahi Sakta

Poet: Rabeea wasi By: Rabeea wasi, Karachi

Zindagi Se Haar Jaon Ho Nahi Sakta
Doran-e-jang farar ho jao ho nhi sakta

Abhi waqt bura hai Mera,
Kal ka dor hoga Mera.

Charhatay raho aur barhatay raho tum,
Himmat na haaro jeeto gay tum.

Agar ek hojaen hum Musalma,
Sabko hara den hum Musalma.

Khwaishon ko apni takmeel pohunchao,
Zindagi main apna naam kamao.

Maghrib ne bigara hai humain,
Khud hi ko sanwarna hai humain.

Ikhlaaq se apnay maiyaar ko jano,
Sab ko choro khud ko pehchano.

Ye duniya e sarzamen anokhi hai bari,
Shorat hai Meri abhi Kal ko hogi Teri.

Lahasil ko nhi hasil ko dekha,
Jo abhi hai usi ko hi dekh.

Mushkilaat hain abhi par aasaniyan hon gi bad main,
Jo humain chor gay hain un ke ilawa sb hon gay sath main.

Rate it:
Views: 570
02 Aug, 2021
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets