Add Poetry

Zindgi Paaon Na Dahar Jaanib-e-Anjaam Abhi

Poet: Adeem Hashmi By: junaid Ellahi, multan

Zindgi Paaon Na Dahar Jaanib-e-Anjaam Abhi
Mere Zimme Hain Adhoore Kai Kaam Abhi

Abhi Taaza Hai Boht Ghaao Bichhar Jaane Ka
Ghair Leti Hai Teri Yaad Sar-e-Shaam Abhi

Jaa'n Dene Men Karon Der Ye Mumkin Hai Kahan
Mujh Tak Aaya Hai Mri Jaa'n Tera Paighaam Abhi

Torr Sakta Hai Mera Dil Ye Zamana Kaise
Mere Seene Men Dharakta Hai Tera Naam Abhi

Mere Haathon Men Hai Maujood Tere Haath Ka Lams
Dil Men Barpa Hai Usi Shaam Ka Kuhraam Abhi

Meri Nazren Karen Kaise Tere Chehre Ka Tawaaf
Meri Aankhon Ne To Baandhe Nahin Ehraam Abhi

Yaad Ke Abr Se Aankhen Meri Bheegi Hain 'Adeem
Ik Dhundhulka Sa Hai Bheegi To Nahi Shaam Abhi

Rate it:
Views: 373
21 Jan, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets