اسے بھول جا
Poet: Ashi By: Babar, KarachiKahan Aa K Ruknay Thay Raastey  
 Kahan Morr Tha Usey Bhool Ja 
 Woh Jo Mil Giya Usey Yaad Rakh 
 Jo Nahin Milla Usey Bhool Ja 
 
 Woh Teray Naseeb Ki Barishen 
 Kisi Aur Chatt Pay Barus Gain 
 Dil Bekhaber Meri Baat Sun 
 Usey Bhool JaUsey Bhool Ja 
 
 Main To Gum Tha Teray Hi Dehaan Main 
 Teri Aas Teray Gumaan Main 
 Saba Keh Gai Meray Kaan Main 
 Meary Saath Aa Usey Bhool Ja 
 
 Kisi Aankh Main Nahin Hai Ashk-E-Gham 
 Teray Baad Kuch Bhi Nahin Hai Kum 
 Tujhey Zindagi Ne Bhulla Diya 
 To Bhi Muskura Usey Bhool Ja 
 
 Kahin Chaak-E-Jaan Ka Rafoo Nahin 
 Kissi Asteen Pay Lahou Nahin 
 K Shahed-E-Raah-E-Malaal Ka 
 Na Khoon Baha Usey Bhool Ja 
 
 Kiyon Atta Hua Hai Ghubaar Main 
 Zindagi K Fashaar Main 
 Woh Jo Darj Tha Teray Bakhat Main 
 So Woh Ho Giya Usey Bhool Ja 
 
 Na Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi 
 Na Hi Woh Khaab Teray Khaab Thay 
 Dil-E-Muntazir To Yeh Kis Liyey
 Tera Jaagna Usey Bhool Ja 
 
 Yeh Jo Raat Din Ka Hai Khail Sa
 Usey Dekh Us Pay Yaqeen Na Ker 
 Nahin Mumkin Koi Bhi Mustaqil 
 Sir-E-Aiyna Usey Bhool Ja 
 
 Jo Bisaat-E-Jaan Hi Ulat Giya
 Woh Jo Raastey Se Hi Palut Giya 
 Usey Rokney Se Hasool Kiya 
 Usey Mat BulaUsey Bhool Ja 
 
 To Yeh Kis Liye Shab-E-Hijer Kay
 Usey Her Sitarey Main Dekhna 
 Woh Falak Jis Pay Milley Thay Hum 
 Koi Aur Tha Usey Bhool Ja 
  







