تمہیں بھلا دوں گا
Poet: Naveed Khan By: Naveed Khan, karachiKaha Tha Na Yun Sote Howe Chor K Mat Jana
 Mujhai Be-Shak Jaga Dena Bata Dena K Tumhai
 Rasta Badlna Hai Mari Had Se Nikalna Hai
 Tum Hai Kis Bat Ka Dar Tha Tumhai Jane Nahi Deta
 Kahen Per Qaid Kar Leta Arye Pagal 
 Mohabat Ki Tabiyat Main Zabar Dasti Nahi Hoti
 Jin Han Rasta Badlna Ho Jinhan Had Se Nikalna 
 Un Hai Na Koi Rouk Paya Hai Na Koi Rouk Paye Ga
 Tumhai Kis Bat Ka Dar The Mujhai Be-Shak Jaga Dete
 Tum Hai Dekh Hi Leta Koi Dua Deta Kam-Az-Kam
 Asa Tu Nahi Hota Mare Sathey Yehi Haqiqat Hai 
 Tumhare Bad Khone K Liye Kuch Bhi Nahi Bacha 
 Per Ab Khone Se Darta Hon Ab Sone Se Darta Hon
 Khafa Hona Mana Lena Yhe Sadiyon Ki Riwayat Hai
 Yehi Mohabat Ki Alamat Hai Gilla Shikwa Karo Mujse
 Magar Yehi Bat Yaad Rakhna Hawain Rukh Badlti Hain
 Khizain Lot Ati Hain Khafa Hona Bhi Mumkin Hai 
 Bus Hamesha Yaad Rakhna Tum 
 Taluk Roth Jane Se Taluk Tota Nahi Karte 
 Mohabat Karne Walon Ke Dil Tota Nahi Karte
 Yhe Naveed Tum Se Or Kya Mangta Tha
  Per Ab Jane Do Bohat Der Howe Ab 
 Tum Waqat Ko Zalim Kehte The 
 Main Waqat Ko Marham Kehta Hon
 Mare Zakhmon Pe Marham Ka Yehi Waqat Kam Kare Ga 
 Main Wada To Nahi Karta Per Tum Ko Bhola Don Ga 
 Per Sochta Hon Ek Samnder Hai Jo Mare Mukabil Hai
  Muj Se To Ek Anson Bhi Nahi Samhala Jata
  Ek Umer Guzarni Hai Tare Baghair
  Ek Lamha Hai Ke Tare Bager Guzara Nahi Jata
  Kase Bhola Don Ga Bus Khud Ko Sazza Don Ga
 
  







