Add Poetry

مجھے اپنے ضبط پے ناز تھا

Poet: Iqbal azeem By: Nabeel, Karachi

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha, Sar-E Bazm Raat Ye Kiya Howa
Meri Aankh Kaise Chalak Gai, Mujhe Ranj Hay Ye Bura Howa

Meri Zindagi K Charagh Ka Ye Mizaaj Koi Naya Nahi
Abhi Roshni Abhi Teergi, Na Jala Howa Na Bujha Howa

Mujhe Jo Bhi Dushman-E Jaa.N Mila, Wohi Pukhta Kaar-E Jafa Mila
Na Kisi Ki Zarb Ghalat Pari Na Kisi Ka Teer Khata Howa

Mujh App Kyou Na Samjh Saka Ya Khud Apna Dil He Say Pochean
Meri Dastan-E-Hyat Ka Tou Warq Warq Hai Khula Hoa

Mujha Ek Gali Main Para Hoa Kesi Badnaseeb Ka Khat Mila
Kahi Khon-E-Dil Sa Likha Hoa Kahi Ansoon Sa Mita Hoa
 

Rate it:
Views: 633
28 Jan, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets