Add Poetry

Farishtey

Poet: Usman Arif By: Usman Arif, Lahore

Imam Khamosh Hain
Shetaan Muskhuraye Jaa Rahay Hain
Umeedon K Mayar Tutey Hain
Khawab Dafnaye Jaa Rahay Hain
Suratain Udass Hain Basti Ki Galliyon Mein
Insan Jitne Thay Jalaye Jaa Rahay Hain
Hawain Raks Kerti Hain Mazaron Pey
Kalaam Jitne Thay Mehkaye Jaa Rahay Hain
Her Ik Preshan Han Zamane K Zulm Sey
Zulm Jitne Thay Dekho Aj Azmaye Ja Rahy Hain
Muhabbat K Bazaron Mein Hawas Bik Rahi Hai
Dekho To Aj Deewane Jitne Thay Pagal Banaye Ja Rahy Hain
Humari rehai Se Gumgin Sa Hai Her Shakhs
Hum To Mout K Mujrim Thay Izat Se Churwaye Ja Rahy Hain
Sharab K Dirya Mein Nakiyan Doub Rahi Hain
Kashtian Jitni Bhi Thi Kagaz Ki Banai Ja Rahi Hain
Farishton Se Log Hain Shetano Se Dill
Geet Jitne Bhi Thay Dekho Aj Prh K Sunaye Ja Rahay Hain
Mukhlasi Aur Muhabbat Ka Door Nahi
Mukhlis Jitne Thay Daar Pe Latkaye Ja Rahay Hain
Sar e Tour Sar e Hashr Usman Ho He Jaye Ga Faisla
Mujrim Jitne Thay Dekh Jahanum Ki Terf Ley Ja Rahay Hain

Rate it:
Views: 456
02 Apr, 2019
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets