Add Poetry

Jala Kar Khak Basar Kar Dety Ho

Poet: S. Sadia Amber Jilani By: S. Sadia Amber Jilani , FaisalAbad, Pakistan

Jala Kar Khak Basar Kar Dety Ho
Meri Har Baat Be-Asar Kar Dety Ho

Ye Bhi Asool Ho Shayad K Tumhara
Manzil Ko Bhi Rah Guzar Kar Dety Ho

Sath Dety Ho Mera Parchai Ki Manid
Aur Gham Bhi Mere Humsafar Kar Dety Ho

Wakt K Sehra Mein Chorr K Tanha
Lumhun Mein Mujhy Be-Samar Kar Dety Ho

Apna Kehty Ho Mere Hoty Bhi Nahi
Kisi Muflis Ki Tarha Be-Ghar Kar Dety Ho

Yaad Atay Ho To Lout Lety Ho Chain Mera
Ashqo'n Ko Mere Be-Sabar Kar Dety Ho

Ay Ishq Ye Sitam Ab Bas Bhi Kar
Hasas Dill Dar Badar Kar Dety Ho

Kabhi Rakhty Ho Nigahun Me Misl-E-Amber
Be-Wajha Fana Magar Kar Dety Ho
 

Rate it:
Views: 932
24 Sep, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets