Add Poetry

Shaam Ka Aalam

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Shaam Ka Aalam Raat Bataaye Raat Ka Zikrr Sahar Se Ho
Sahil Ki Pehchan Samandar Aur Samandar Lahar Se Ho

Iss Lamhe Mai Uss Lamhe Ki Khushboo Aani Lazim Hai
Zikr Agar Ho Jaan Ka Meri To Pichli Hi Pehar Se Ho

Anpadh Gaon Ki Titli Ne Kab Mehal Ataare Dekhe Hain
Lekin Gul Ki Chahat Ye Hai Phool Mera Bas Shahr Se Ho

"ShamS" Ye Gurbat Ghar Ghar Mai Ek Na Ek Din Jaan Legi
Muflish Baap Ye Soch Raha Hai Kaash Ke Roti Zehar Se Ho

Rate it:
Views: 604
14 Jan, 2015
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets