Aaj K Daur Mai Ay Dost Ye Manzar Kyun Hai
Zakham Her Sar Per Aur Her Ek Haath Mai Patthar Kyun Hai
Jab Haqeeqat Hai K Her Zarre Mai Tuu Rehta Hai
Phir Zameen Per Kahin Masjid To Kahin Mandir Kyun Hai
Apna Anjaam To Maaluum Hai Sab Ko Phir Bhi
Apni Nazaron Mai Her Insaan Sikandar Kyun Hai
Zindagi Jeene K Qaabil Hi Nahi Ab Khuram
Warna Her Aankh Mai Ashkon Ka Samandar Kyun Hai