Add Poetry

Aaj Ke Is Insaan Ko Ye Kya Ho Gaya

Poet: Kavi Pardeep By: Arjun, karachi

Aaj Ke Is Insaan Ko Ye Kyaa Ho Gayaa
Iskaa Puraanaa Pyaar Kahaan Par Kho Gayaa
Kaisi Ye Manhoos Ghari Hai 
Bhaaiyon Mei Jang Chiri Hai 
Kahin Par Khoon, Kahin Par Jwaalaa
Jaane Kyaa Hai Hone Waalaa
Sab Kaa Maathaa Aaj Jhukaa Hai
Aazaadi Kaa Juloos Rukaa Hai
Chaaron Ore Dagaa Hee Dagaa Hai
Har Chhure Par Khoon Lagaa Hai
Aaj Dukhi Hai Jantaa Saari
Rote Hain Laakhon Nar Naari
Rote Hain Aangan Galiyaare
Rote Aaj Mohalle Saare
Roti Salmaa, Roti Hai Seeta
Rote Hain Quraan Aur Geeta 
Aaj Himaalay Chillaataa Hai
Kahaan Puraanaa Wo Naataa Hai
Das Diyaa Saare Desh Ko Zehreele Naagon Ne
Ghar Ko Lagaa Dee Aag Ghar Ke Chiraagon Ne 
Apnaa Desh Wo Desh Thhaa Bhaai
Laakhon Baar Musibat Aayee
Insaanon Ne Jaan Ganwaayee –
Par Bahanon Ki Laaj Bachaayee
Lekin Ab Wo Baat Kahaan Hai
Ab To Kewal Ghaat Yahaan Hai
Chal Rahee Hai Ultee Hawaayen
Kaanp Rahee Thhar Thhar Ablaayen
Aaj Har Ek Aanchal Ko Hai Khatraa
Aaj Har Ghunghat Ko Hai Khatraa
Khatre Mei Hai Laaj Bahan Kee
Khatre Mei Hai Chudiyaan Dulhan Kee
Dartee Hai Har Paanw Ki Paayal
Aaj Kaheen Ho Naa Jaaye Ghaayal
Aaj Salaamat Naa Koi Ghar Hai
Sab Ko Lut Jaane Kaa Dar Hai

Humne Apne Watan Ko Dekhaa
Aadmi Ke Patan Ko Dekhaa
Aaj To Bahanon Par Bhee Humlaa Hotaa Hai
Duur Kisi Kone Mei Mazhab Rotaa Hai
Kiske Sar Ilzaam Dharen Hum
Aaj Kahaan Fariyaad Karen Hum? 
Karte Hai Jo Aaj Laraai
Sub Ke Sub Hain Apne Hee Bhaai
Sub Ke Sub Yahaan Apraadhi
Haay Mohabbat Sub Ne Bhulaa Dee
Aaj Bahee Jo Khoon Ki Dhaaraa
Doshi Uskaa Samaaj Hai Saaraa
Suno Zara O Sunne Waalon
Aasmaan Par Nazar Ghumaa Lo
Ek Gagan Mei Karoron Taare
Rahte Hain Hil Mil Kar Saare
Kabhi Naa Wo Aapas Mei Larte
Kabhi Naa Dekhaa Unko Jhagarte
Kabhi Nahin Wo Chhure Chalaate
Kabhi Nahin Kisi Kaa Khoon Bahaate
Lekin Is Insaan Ko Dekho
Dharti Ki Santaan Ko Dekho
Kitnaa Hai Ye Haay Kameenaa,
Is Ne Laakhon Kaa Sukh Chheenaa
Kee Hai Isne Aaj Jo Tabaahee
Denge Uskee Ye Mulk Gawaahee
Aapas Kee Ye Dushmani Kaa Ye Anjaam Huaa
Duniyaa Hansne Lagi Desh Badnaam Huaa
Kaisaa Ye Khatre Kaa Fazal Hai
Aaj Hawaaon Mei Bhee Zahar Hai
Kahin Bhee Dekho Baat Yahee Hai
Haay Bhayaanak Raat Yahee Hai
Maut Ke Saaye Hain Ghar Ghar Mei
Kab Kya Hogaa Kise Khabar Hai
Bund Hain Khidki, Bund Hain Dwaare
Baithe Hain Sab Darr Ke Mare
Kyaa Hogaa In Bechaaron Kaa
Kyaa Hogaa In Laachaaron Kaa
Inkaa Sub Kuch Kho Saktaa Hai
In Par Humlaa Ho Saktaa Hai
Koi Rakshak Nazar Aataa Naheen
Khoyaa Hai Aakaash Mei Daataa
Ye Kyaa Haal Huaa Apne Sansaar Kaa
Nikal Rahaa Hai Aaj Janaazaa Pyaar Kaa

Rate it:
Views: 793
21 Jan, 2011
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets