Aanay Lagi Phir Sy

Poet: Adeel sair By: Adeel sair, Farooka sargodha

Aanay Lagi Phir Sy Dua Yaad Umer E Daraz Ki
Mili Jb Sy Khabar Tabiyat E Na Saz Ki

Haif Sad Haif Hum Ko Mangnay K Tareqa Na Aaya
Bhula Jo Di Hum Ny Shan Namaz Ki

Ik Muddat Sy Howa Ni Ajab Kuch
Dil E Nadan Ko Barson Sy Tamna Hy Naye Aijaz Ki

Kabi Takhat Pr Kabi Takhta E Dar Pr
Ye Kahni Hy Zindagi K Nashaib O Faraz Ki

Kaha Tha Pehlay Hi Bacho Lafz Mohabbat Sy
Ab To Ni Hy Gunjaish Kisi Ahtaraz Ki

Nazar Sy Hi Baat Kr Letay Ho Tum Aksar
Btao To Sahi Haqeeqat Apnay Is Andaz Ki

Jaan Jati Hy To Chali Jaye Magar "Sair"
Haqeeqat Ayan Mat Karna Mohabbat K Raaz Ki
 

Rate it:
Views: 494
11 Sep, 2014