Add Poetry

Aankhain

Poet: Mohsin Naqvi By: Sam, LAHORE

Tamam Shub Yun Hi Daikhain Gi So-E-Dar Aankhain
Tujhy Ganwa Ke Na Soain Gi Umar Bar Aankhain

Tallo-E-Subah Se Pahle Hi Bujh Na Jaye Kahin
Ye Dasht-E-Shub Main Sitaroon Ki Humsafar Aankhain

Sitam Ye Kum To Nahi Dil Gariftagi Ke Laye
Main Shehar Bar Main Akela Idher Udher Aankhain

Shumaar Us Ki Sakhawat Ka Kya Karain Ke Wo Shakhs
Chiraag Bant Ta Phir Ta Hai Chean Ker Aankhain

Wo Pas Tha To Zamane Ko Dekhti He Na Thi Aankhain
Bichar Gaya To Hoain Phir Se Dar Badar Aankhain

Main Apne Ashke Bachaon Ga Kis Tarah Mohsin
Zamana Sang-E-Bukfe Hai To Shesha Gar Aankhain

Rate it:
Views: 647
06 Aug, 2008
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets