Ik Dhundh Si Chhai Hai Nazzaron Ke Aas Paas
Pehra Hai Khizaaon Ka Baharon Ke Aas Paas
Tahqeeq Ki Manzil Tu Bohat Door Hai ,Laikin
Hum Kho Chukay Nigah Sitaaron Ke Aas Paas
Paanay Ki Tamanna Hai Tu Gehraai Main Utro
Miltay Nhin Hain Gohr Kinaaron Ke Aas Paas
Wo Daolat E Nayaab Keh Aansoo Kahain Jisay
Bikhri Pari Hai Dard Ke Maaron Ke Aas Paas
Ujray Huway Chaman Main Teri Yaad Bi Aai
Khiltay Rahay Gulaab Bi Khaaron Ke Aas Paas
Hasil Ke Taqaazay Ko Hai Bas Hosla Darkaar
Sab Jeet Pari Thi Kahin Haaron Ke Aas Paasa