Tu Kitni Nadan Hay Aay Bholi Bhali Gayae
Mudat Huwi Tamam Kiun Tu Na Samajh Payae
Dhal Chuki Hay Sham, Zid Apni Tu Chor De
Hay Bheria Teri Tak Mein K Apni Pias Bhujayae
Chor Kr Ghar Apna Azadi Ki Talash Mein
Bhatakna Hay Qadam Qadam Gr Tu Na Wapas Ayae
Sun Le Ye Awaz Abhi Samajh Le Ye Raz Abhi
Teri Hi Khatir Hain Sazinde Sare Ye Mehfil Sajayae
Kitni Thandi Chawon Mein Rehti Tu Aram Se
Muhafiz Tire Daro Diwar Kiun Na Tujh Ko Bhayae
Jana Na, Hay Dost Kon Tira, Hay Dushman Kon
Miri Talab Doodh Faqat, Wo Hay Tire Khun Ki Aas Lagayae
Dost Se Tira Door Rehna Dushman Se Tiri Dosti
Dard Hay Raha Yahi, Yahi Gham Hameed Ko Khayae
Be Rukhi Tiri Ne Tujhe Bhula Dia Anjam Se
Udasi Miri Itni Barhi Dil Hr Dam Tilmalayae