Add Poetry

Ab Aesi Mohabat Kya Karni

Poet: Hasni Naveed Afridi By: Minhal, karachi

Kehnay Ko Mohabat Hai Laikin
Ab Aisi Mohabat Kya Kerni
Jo Neend Chura Lay Ankhon Se
Jo Khab Dikha Ker Phoolon K
Tabeer Main Kantay Day Jai
Jo Ghum Ki Kali Raton Se
Her Aas Ka Jugnu Lay Jaye
Jo Khowab Sajati Ankhon Ko
Anson Hi Anso Day Jaye
Jo Mushkil Ker Day Jeenay Ko
Jo Marne Ko Asan Kre
Wo Dil Jo Pyar Ka Mandir Ho
Wo Yadon Ko Mehman Kre

Ab Aisi Mohabat Kya Kerni

Jo Umer Ki Naqdi Lay Jaye
Aur Phir Bhi Jholi Khali Ho
Wo Surat Dil Ka Rog Bane
Jo Surat Dil Ko Pyari Ho
Jo Qais Banade Insaan Ko
Jo Ranjha Aur Farhad Kre

Ab Aisi Mohabat Kya Kerni
Jo Khushiyo Ko Barbad Kre
Dekho Tu Mohabat K Bare Main
Her Shakhs Yehi Kuch Kehta Hai
Socho To Mohabat K Andar
Ik Dard Hamesha Rehta Hai
Phir Bhi Jo Cheez Mohabat Hai
Kab In Baton Say Darti Hai
Kab In K Bandhay Rukti Hai
Jis Dil Main Is Ko Basna Ho
Chupke Say Bus Jati
Mohabat Ho Hi Jati He

Rate it:
Views: 3498
14 Sep, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets