(On Earthquake At Azaad Kashmir)
Abhe Tum Na Aana,Abhe Tum Na Aana
Abhe Piaar Ka Jaanaan Mosam Nhe Hai
Abhe To Bhuja Sa He Dil Ka Jhaan Hai
Abhe Tum Na Aana Abhe Tum Na Aana
Abhe To Hwaain Bhe Tham C Gai Hain
Drakhton K Pttay B Sokhay Pray Hain
Nai Kompalain To Khili Bhe Nhe Hain
Abhe Tum Na Aana Abhe Tum Na Aana
Abhe Hansti Gaati Hoi Bstiyaan Theen
Abhe Nannay Bchay Bhe Jholay Thay Jholain
Abhe Hont Pay Maan K Loori Saji The
Abhe Tum Na Ana Abhe Tum Na Aana
Wo Chashma Jo Chaandi Sa Lgta Tha Behta
Wo Chashma Abhe Tak Wheen Pay Hai Behta
Mgr Matkiyaan Ab Wo Laati Nhe Hain
Abhe Tum Na Aana Abhe Tum Na Aana
Abhe To Bhuja Sa Hai Soraj Bhe Lgta
Dilon Main Jo Ab Hai Andhera Sa Bsta
Ronak Jhaan Ki To Kho C Gai Hai
Abhe Tum Na Aana Abhe Tum Na Aana
Zmeen Ki To Pehchaan Hoti Nhe Hai
Mkaan Ki Jo Pehchaan Gharak Ho Gai Hai
Matti Say Sb Kuch Atta Sa Pra Hai
Abhe Tum Na Aana Abhe Tum Na Aana
Wo Sundartaa Tha Jis Pr Phaaron Ko Naaz
Wo Orta Jo Aata Tha Bsti Say Baaz
Abhe Wahan Odaasi K Dyray Jamay Hain
Abhe Tum Na Aana Abhe Tum Na Aana
Wo Laali Shafak Ki Bhe Ronak Na Bakhshay
Nazar Aatay Hain Is Main Khoonon K Nakshay
Bhaarain Yhaan Ki Ju Tham C Gai Hain
Abhe Tum Na Aana Abhe Tum Na Aana
Baarish K Ktray Bhe Hil Say Gaay Hain
Burf Posh Khander Main Mil Say Gaay Hain
Fiza Ki Sofaide Ajab C Lagay Hai
Abhe Tum Na Aana Abhe Tum Na Aana
Abhe Bus Doa Hai Khuda Say K Ay Rab
Khon Ki Sofaidi Main Bdlay Na Yeh Shab
Bhaarain Plat Aain Phir Say Yhaan Sab
Abhe Tum Na Aana Abhe Tum Na Aana
Abhe Piaar Ka Jaana Mosam Nhe Hai
Abhe Tum Na Aana Abhe Tum Na Aana.