Add Poetry

Adhoori Zaat

Poet: Ayesha Siddiqua By: Ayesha, Karachi

Bohat Si Hijr Raaton Ki
Bohat Si Talkh Baaton Ki
Bohat Si Narm Yaadon Ki
Kisi Gehraai Main
Main Khud Ko Kho Tu Ai Hoon

Jazbon K Samandar Bohat
Kahin Sula Tu Ai Hoon
Bohat Hi Chah Se Apna Daaman
Ab Main Chura Tu Ai Hoon
Magar Ab Jaane Kyun
Mujhe Kuch Aisa Lagta Hai

K Koi Qeemti Lamha
Bohat Hi Qeemti Lamha
Main Peeche Chor Ai Hoon

Adhoori Zaat Ab Meri
Adhoori Soch Ab Meri
Bohat Si Kaali Raaton Main
Bohat Si Roshan Subhon Main
Mujhe Kitna Rulaati Hai
Mujhe Yun Aazmaati Hai

Kahin Kuch Apni Zaat Ka
Koi Takmeel Ka Tukra
Kisi Ki Bewafaai Se
Main Peeche Rond Ai Hoon

Najaane Ab Bhi Wo Gosha
Jism Se Hai Juda Phir Bhi
Bohat Takleef Deta Hai
Kabhi Tu Jaan Leta Hai

Bohat Takleef Deta Hai

Rate it:
Views: 645
19 Mar, 2010
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets