Ae Aurat Tujhe Salam
Tere Kitne Roop Tere Kitne Naam
Tu Maa Ke Avtaar Mai Jannat Hai Meri
Tu Biwi Ke Avtaar Mai Mohabbat Hai Meri
Tu Behan Ke Avtaar Mai
Ibadat Se Kam Hai Kahan
Ae Aurat Tujhe Salaam
Ae Aurat Tujhe Salam
Tere Kitne Roop Tere Kitne Naam
Abhi Ye Jo Wehashat Ka Hai Daur Tujhpe
Hamaari Hi Kuch Bujhdili Ka Asar Hai
Ye Bekhof Jo Phir Rahe Hain Gunaahi
Inhe Ye Abhi Shayad Nahi Kuch Khabar Hai
Ye Janamey Hai Jis Kokh Se Hai Wo Aurat
Deemagon Mai Jo Bhar Chuke Hain Wo Zahalat
Usi Ko Mitane Ka Ab Waqt Aaya
Shama-E-Ilam Jalane Ka Ab Waqt Aaya
Uthakar Bahar Kar Do In Bujhdilon Ko
Jalakar Fana Kar Do In Qaatilon Ko
Bhala Kab Talak Aur Sehna Padega
Kabhi Na Kabhi To Ye Kehna Padega
Chalo Ab Shuroo Hum Ye Aaghaaz Kar Dein
Sabhi Wehashton Ka Hum Anjaam Kar Dein
Na Phirr Koi Ghar Ki Youn Ijzat Uchaale
Chalo Hum Karein Khud Ko Khud Ke Hawaale
Ye Maayein Humaari
Ye Behanein Humaari
Kabhi Khouf Ke Saayon Main Na Bethein
Hai Humko Kasam Ab Se Apne Lahoo Ki
Salamat Rakhenge Hum Ye Fasana
Ae Aurat Agar Ab Kabhi Kuch Ghalat Ho
Hai Tumko Kasam Khud Khanzar Uthana
Chalega Kadam Se Kadam Ko Milakar
Tere Sang Zamana
Tere Sang Zamana
Ae Aurat Tujhe Salam
Ae Aurat Tujhe Salam.