Aey Aadam K Beto , Main Hawa Ki Beti
Tumharay Adal Ki Muntazir Hu
Mujhe Batao Zameen K Khudaon
Ye Kesi Tumhari Munafqat Hay
Kisi Ko Bakhsha Hay Tum Nay Rutba
Kisi Ko Ruswaiyo Ko Paishaa .
Kisi Ko Maa K Martabath Pay
Bita K Din Raat Poojtay Ho
Kisi Ki Majboorio Ko Tum
Khanaktay Sikko Main Toltay Ho
Kisi Ko Beti Bana K Ghar Main
Sabak Haya Ka Parha Rahay Ho
Kisi K Gongroo Ki Taal Pay Tum
Bazm-E-Shehwath Saja Rahay Ho
Kisi Ko Behen Bana K Us Kay
Badan Ko Chadar Say Dhaanptay Ho
Kisi K Daaman Pay Tum Hoss Ki
Ghaleez Keechar Uchaltay Ho
Kisi Ka Mansab Aali Kar Do
Kisi Ko Gandi Gaali Kar Do
Kisi Ko Ghar Ka Gharoor Kar Do
Kisi Ka Koocha Mashoor Kar Do
Kisi Ka Doli Naseeb Kar Do
Kisi Ka Boli Naseeb Kar Do
Yeh Bay-Hisi Hay K Bay-Basi Hay
Tumhari Ye Kesi Munsafi Hay
Aey Aadam K Beto Jawab Do Keh
Hawa Ki Beti Ye Pochti Hay
Ye Baat Meri Agar Na Samjho
Ye Shook Apni Hatak Samajna
Samaj Sako Tou Is Ko Apni
Gherat Pay Aik Dastak Samajna