Neeer Bahain
Din Raien Bahain
Piyasa Hay Dil Aur Piyasi Rooh
Ik Aag Se Jaltee Rahtee Hay
Houlay Houlay Sulgan Sulgan
Shidat Shidat
Kuch Jalta Nahee
Phir Bhi
Ik Aag Se Jaltee Rahtee Hay
Phir Yunhi Kabhi Tanhayun Maien
Kabhi Raaton Ko Taroon Kay Tallay
Yadoon Kay Soutay Phoottay Haien
Nanoon Kay Bund Bhi Toottay Haien
Sailaab Umad Kar Aata Hay
Sub Kuch Jalthal Ho Jata Hay
Ik Pal Ko Yun Lagta Hay Kay
Bus Thundak See Parh Jayegee
Barsoon Say Jalti Oujhal Aagni
Ub Tu Bujh Hee Jayegee
Lamha Bhar Ko Yun Lugta Hay
Ik Sahar Ka Aalam Chaya Hay
Har Shay Mein Jamood
Har Samat Sakoot
Nanoon Say Barastay Neeeron Ki Dhund
Khawabeeda Sakoon
Ik Abdee Sakoon
Lakin Yeh Pal
Ye Sahari Pal
Har Pal Ki Tarah
Pal Bhar Maien Aisay Beet Gaya
Kay Aya Na Ho
Neeeron Ki Dhundh Kay Chattay Hee
Barsoon Say Sullagtee Oujhal Aagni
Rooh Ko Phir Jhulsatee Hay
Aagni Aagni
Jeevan Aagni
Aagni Jevan
Abdee Aagni
Iss Aagni Maien Jal Jana Hay
Kundan Ki Tarah Ho Jana Hay