Add Poetry

AnkhoN Sy Dil Tk

Poet: Minhas By: Farasat ali minhas, Lahore

AnkhoN Sy Dil Tk Ka Safr
Itna Mukhtsir Hota Hai
K
Pal Bhr Mein Manzil Pa Lyta Hai Insaan
Magar
Kbi Itna Taveel Ho Jata Hai
K
Umer Beet Jati Hai
Manzil Ki Aarzu Mein
Asan Itna
K
Bin Sochy Nangay PaoN
Chal Parrhta Hai Insaan
Magar
Kbi Itna Kathhan
K
Har Tadbeer K Baawajood
Por Por Zakhmi Ho Jati Hai
Khushnuma Itana
K
Sehra Bi GulstaN Nazar Ata Hai
Magar
Kbi Itna Khaofnaak
K
Har Qadam Py Maot Ka Ghumaan Hota Hai
Roshan Itna
K
Aankhein Chundya Jati Hain
Magar
Kbi Intna Tareek
K
Apna Wajood Bi Nhi Daikh Pata Insaan
Es Sb K Baawjood
Insaan Hamesha Aankhon Sy Dil Tk Ka Safr Hi Ikhtyar Krta Hai 
Anjaam Ki Parwa Kiye Bagair.
Haqiqat Yahi Hai
K
Mohbat K Liye Zruri Hai
AankhoN Sy Dil Tk Ka Safar..
(Written By Minhas King)ف
 

Rate it:
Views: 377
30 Oct, 2013
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets