Aap Aate Hain To Milne Se Khushi Hoti Hai
Haye Kya Cheez Muhabbat Ki Ghari Hoti Hai
Dil Jo DUniya Se Uthaaya To Mila Khud ka Pata
Be-Khudi Mein Bhi Nihaan Rasm-e- Khudi Hoti Hai
Manzil-e-Ishq Ki Nishaniyaan ALLAH ALLAH
Sahil Samjho Jise Dushwaar Wohi Hoti Hai
Main Jo Hansta Hoon To Koi Nahi Hansne Waala
Aur Rota Hoon To Duniya Ko Khoshi Hoti Hai
Ishq Mein Hosh Urhe Jab To Samajh Aaya
Zaamana-e-Hosh Yehi Be-Khabri Hoti Hai
Laakh Dil Usi Se Lagaao Bhi To Hota Kiya Hai
Dost Kis Ki Bhalaa Duniya-e-Dhani Hoti Hai
Hum Ko Shamsheer-o-Salaasil Se Daraane Waalo
Kaheen Ayse Bhi Muhabbat Mein Kami Hoti Hai
Kya Maze Aate Hain Pher Shaam-e-Tamana " Mohsin "
Main Edhar Aur Udhar Aashufta-Sari Hoti Hai