Add Poetry

Baandh Liya Daman Se

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Baandh Liya Daman Se Humne Jinke Sabhi Gham-Khaaron Ko
Wo Hi Dooba Bethe Hain Bhawar Mai Meri Sabhi Patwaaron Ko

Galiyon Galiyon Cheekh Rahi Hain Hum Bebason Ki Faryaadein
Kon Mahal Tak Le Jaayega Hum Jaise Banjaaron Ko

Bohat Hua Ye Khoon Ka Khela Ab To Kuch Narmi Barto
Kab Tak Khoon Se Rangoge Tum MulQ ki Inn Deewaaron Ko

Dekh Raha Hoon Aag Se Pehle Phoonkegi Ghar Chingaari
Gar Seene Mai Dehakne Dogey Nafrat Ke Angaaron Ko

"ShamS" Ye Ek Ghar Mai Do Aangan Kab Tak Rishtey Todenge
Ab To Mayaan Mai Hi Rehne Do Purkhon Ki Talwaaron Ko

Rate it:
Views: 292
31 Oct, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets