Wo Mere Bachpan Ke Din
Lamha Lamha Nadanion Ke Din
Wo Bar Bar Khilono Se Khelna
Wo Ukta Ker Un Ko Torna Phorna
Wo Aaker Madari Ka Dugdugi Bajana
Aur Nae Nae Bunder Ke Kurtab Dikhana
Wo Talian Bach'chon Ka Huns Ker Bajana
Aur Kehna Ke Uncle Zara Phir Se Dikhana
Wo Be-Fikr Galyon Mein Phirna Phirana
Wo Be Ja Gharon Ki Ghanti Bajana
Wo Bin Pooche Ammi Se Naddi Pe Jana
Aur Kaghaz Ki Kashti Bana Ke Bahana
Wo Uktahat Se School Ka Busta Uthana
Aur Chutti Ka Sun Ke Hansna Hansana
Wo Idhar Se Udar Uchal Kood Kar
Nachna Barish Ki Duaa Mang Kar
Shaoor Ne Aakar Aqal Soi Jagadi
Aur Cheen Li Mujh Se Meri Aazadi
Aur Khatam Hoi Meri Bachpan Ki Kahani
Bare Hoke Badal Gai Zindegani