Add Poetry

Bad_Baan Kab Kholta Hoon ?

Poet: Tabish By: Rainy Eyes, Kotri Kabir

Bad_Baan Kab Kholta Hoon ? Paar Kab Jata Hoon Main ?
Roz Raste Ki Tarah Dariya Se Lot Aata Hoon Main

Suaha Dam Mein Kholta Hoon Rasi Apne Paon Ki
Din Dhaly Khud Ko Kahin Se Hank Kar Lata Hoon Main

Apne Janib Se Bhi Deta Hoon Kachoky Jism Ko
Us Ki Janib Se Bhi Apny Zakham Sehlata Hoon Main

Aik Bachy Ki Tarah Khud Ko Bitha Kar Samny
Khoob Khud Ko Kosta Hoon, Khoob Samajhta Hoon Main

Khushat Paton Ki Tarah Hai Quwat_E_Goyi Bhi
Baat Koi Bhi Nahi Aur Bolta Jata Hoon Main

Ye Wo Hh Tanhai Hai, Jis Se Behl Jata Hai Dil
Ye Wo Hi Tanhai Hai Ab Jis Se Ghabrata Hoon Main

Ishq Mein Mani Hai Ghaib Ki Taraf Daari Mujhe
Rob Jab Chalta Nahi, To Paon Parh Jata Hoon Main

Mery Haath Aaty Hain Tabish Doosry Mausam Ke Phool
Aik Mausam Mein To Tehni Tak Pohnch Pata Hoon Main

Rate it:
Views: 399
26 Feb, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets