Add Poetry

Baitiyan Phoolon Ki Tarah Hoti Hain

Poet: ÃÂÑ$ØØ By: ÃÂÑ$ØØ, Karachi

Tapti Zameen Par Ansooaon K Payar Ki Soorat Hoti Hain
Chahaton Ki Soorat Hoti Hain
Baitiyan Khoobsorat Hoti Hain
Dil K Zakham Mitane Ko
Angan Me Utri Boondon Ki Tarah Hoti Hain
Baitiyan Phoolon Ki Tarah Hoti Hain
Na Mehruban Dhoop Me Saya Deti
Naram Hathailyoun Ki Tarah Hoti Hain
Baityan Titliyoun Ki Tarah Hoti Hain
Chiriyoun Ki Tarah Hoti Hain
Tanha,Udas Safar Me Rang Bharti
Ridaon Jese Hoti Hain
Baitiyan Chaon Jesi Hoti Hain
Kabi Bula Sakin,Kabi Chupa Sakin
Baitiyan Un-Kahi Sadaaon Jesi Hoti Hain
Kabi Jhuka Sakin,Kabi Mita Sakin
Baitiyan Ana-On Jesi Hoti Hain
Kabi Hasa Sakin,Kabi Rula Sakin
Kabi Sanwar Sakin,Kabi Ujjaar Sakin
Baitiyan To Tabeer Mangti Duaon Jesi Hoti Hain
Had Se Maherban,Bayan Se Achi
Baitiyan Wafaon Jesi Hoti Hain

Rate it:
Views: 554
24 Feb, 2011
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets