Roz Raat Mein Khirki Se Us Chand Dekhta Hun
Aur Mere Tute Dil Ki Dastan Liye Nazme Sochta Hun
Kabhi Jo Nazm Likhi To Use Padh Deta Hun
Aur Us Chand Ko Mere Ishq Ka Gawah Banata Hun
Magar Use Bhi Par Aa Jate Hai Shayad
Jhat Se Ozal Ho Jata Hai Meri Nazron Ke Samne Se
Aur Chup Jata Hai Us Bade Se Makan Ke Piche
Aaj Baitha Hun Aankh Mein Nind Liye
Aur Dil Bechain Ho Raha Hai Us Nazm Se Iqrar Kare Ke Liye
Bohaut Der Ho Gayi Usne Apni Roshni Se Sawera Na Kiya Hai
Aaj Amawas Nahi ,Ghana Andhera Bhi Nahi
Jisase Ghabrakar Wo Us Aanchal Mein Thehra Hua Hain
Are Jara Rukiye Janab,
Shayad Aaj Dharti Hi Dheere Ghum Rahi Hai
Shayad Aaj Kisi Aur Ko Bhi Mohabbat Hui Hai
Shayad Ajj Koi Aur Bhi Dastan-E-Mohabbat Lafzon Mein Bayan Kar Raha Hai
Aur Shayad Aaj Raat Dharti Ke Sath Chand Ki Bhi Peshi Hai
Chalo Ab Kuch Uski Thandi Dhup Ke Bina Hi Lukh Lete Hai
Dekhu To Jara Ke Khud Se Kuch Sujta Bhi Hai
Kyon Ki Ab To Har Roz Use Kisi Aur Ke Liye Bhi BAYAN Dena Hai