Khuabon K Bal O Par
Jab Jaaren Chorte Hain
Rooh Mar Jati Hai
Saans Ruk Jati Hai
Raastay Nahi Milte
Manzil Kho Jati Hai
Soch Ka Zawiya
Kuch Yun Mitti Hota Hai
Raat Nahi Kat'ti
Na Aaftab Nikalta Hai
Sham Ka Manzar
Jase Tham Sa Jata Hai
Dukh Ki Shawl Orhay
Shafaq Dhundla Jati Hai
Zindagi Main Sirf Aik Mausam
Mustaqil Rah Jata Hai
Khizan Nahi Guzarti
Bahar Nahi Aati
Diary K Pan'non Pe
Khoon K Qalam Se
Aansoo Raqam Hote Hain
Aakhri Pan'na Bhi
Khooni Ban Jata Hai
Jis Pe Khuabon K Bal O Par Ka
Qatra Qatra Khoon Behta Rahta Hai