Bechara Dil
Poet: munib aatish By: munib aatish, muzaffarpurJazba E Ishq Se Sarshar Hai Bechaaraa Dil
 Shab Guzarne Ko Hai Bezaar Hai Bechaara Dil
 
 Husno Wasir Me Teri Dil Ne Bahut Kaam Kiye
 Tum Ghazal Ho Meri Ashaar Hai Becharaa Dil
 
 Ye Pareshan Hai Bs Teri Jhalak Pane Ko 
 Tum Se Milne Ka Talabgar Hai Bechaara Dil
 
 Tishnagi Se Nahi Waqif Abhi Nadan Hai Ye
 Zindagi Tum Ho To Kirdaar Hai Bechara Dil
 
 Dil Ne Sajde Bhi Kiye Mandiro-Masaajid Me
 Rahmat E Rab Se Bhi Gulzaar Hai Bechaara Dil
 
 Dil Ne Saudaa Ki Bhi Baton Ki Ghulaami Ki Hai 
 Ghalib O Meer Ka Bhi Yaar Hai Bechaaraa Dil
 
 Dil Ne Iqbal Ke Ashaar Bhi Bahut Samjhe 
 Shaad O Faani Ka Tarafdar Hai Bechaara Dil
 
 Zahr E Ishq Shauq Ne Ghola Hai Bari Khubi Se 
 Aatish O Dard Ka Izhaar Hai Bechaara Dil
 
 Dil Ne Asghar Ko Wali Ko Bhi Bahut Yad Kiya 
 Jigar O Majruh Ka Bazaar Hai Bechaara Dil
 
 Dil Ne Koi Baat Chupai Nahi MUNIB Suno
 BS Mohabbat Ka Kharidaar Hai Bechaara Dil
  






