Bhookhmari Mere Shahr Mai Aam Huae Bethi Hai
Zindagi Pait Ki Gulaam Huae Bethi Hai
Roz Hote Hai Haadsey Zindagi-E-Zillat Se
Aisa Lagta Hai Siyasat Nilaam Huae Bethi Hai
Maine Foothpath Pe Dekhe Hain Bilakhte Bachche
Jaane Kyun Insaaniyat Haraam Huae Bethi Hai
Bik Rahe Hain Chand Sikko Mai Sab Imaan Waale
Aur Zabaan Gareeb Ki Bedaam Huae Bethi Hai
Doosron Ko Main Heedayat Bhi Nhi De Sakta
Meri Pehchaan Khud Gumnaam Huae Bethi Hai
"Shams" Ye Mulq Ki Jamburiyat Ko Hua Kya Hai
Kyun Bhala Jhamburiyat Badnaam Huae Bethi Hai.