Chalnay Lagay Un Rahon Pe Hum
Jin Rahon Pe Manzil Milay Gi Naahi
Par In Bai-Nishaan Raaston Ki Qasam
Apni Raftaar Dheemi Paray Gi Naahi
Sang-E-Milon Say Hum To Hain Ikdum Khafa
Wo Hamray Liyay Bus Siraay Tarah
Jis Simt Hai Chaal Apni Chali
Wo Ab Kahin Bhi Muray Gi Naahi
Nahin Kuch Dhiaan Un Zakhmon Pe Hai
Wo Jo Talwaar-O-Khanjar Say Hum Ko Milay
Jo Ik Chot Teri Zubaan Say Lagi
Mudaton Mudaton Wo Bharay Gi Naahi
Jis Kai Seenay Per Chaidon Ki Bharmaar Hai
Aur Dor Gitahon Say Tooti Hui
Bus Meri Zindagi Us Manind-E-Patang
Jo Ab Kabhi Bhi Urday Gi Naahi
Atal Hai Loho Qalam Ka Likha
Magar Phir Bhi Qurdat Ki Gunjaaish Hai
Per Hai Apni Qismat Ka Hum Ko Yaqeen
Yay Apni Jaga Say Hilay Gi Naahi
Itni Bari Kaainaat-E-Khuda Mai
Ik Shuks Say Hum Ko Chaahat Hui
Aisi Kiya Baat Hai Koi Bata Day Mujhay
K Bus Wo Hi Mujh Ko Milay Gi Naahi