Chalo So Jaayein
Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New DelhiDhal Gaya Din Ho Chuki Raat Chalo So Jaayein
 Karni Hai Tumse Mulaqaat Chalo So Jaayein
 
 Mere Jazbaat Meri Aarzoo Mere Qisse
 Sab Mai Hai Aap Hi Ki Baat Chalo So Jaayein
 
 Teri Khamosh Nighaahon Se Mohabbat Hai Mujhe
 Jagaayein Inn Mai Khayaalaat Chalo So Jaayein
 
 Mere Haathon Ki Lakeeron Mai Tera Naam Nhi
 Tu Mile Mujhko Ho Karamaat Chalo So Jaayein
 
 Laakh Sajdon Mai Mera Sar Khudaaya Ke Liye
 Bin Uske Kya Meri Auqaat Chalo So Jaayein
 
 Sab Ke Sab Uske Deewaane Sab K Sab Uske Mureed
 Poochun Kis Kis Se Sawalaat Chalo So Jaayein
 
 Unki Chokhat Pe Ye Hi Sochkar Nhi Jaata
 Baat Badh Jaayegi Be-Baat Chalo So Jaayein
 
 Honslaa Todkar Kehte Hai Youn Mere Apne
 Kaise Sudhrenge Ab Halaat Chalo So Jaayein
 
 Zulam Sh Sh Ke Gunhagaar Ho Gaya Hun Main
 Ab Bhale Kuch Ho Meri Zaat Chalo So Jaayein
 
 Ab To Aadat Si Ho Gayi Hai Dil Ko Tootne Ki
 Jaa Tu Bhi Chodd Mera Saath Chalo So Jaayein
 
 Sara Din Tujhko Sochta Raha Kisi Shayar Ki Tarha " Shamsul "
 Ab Muqammat Karni Hai Ghazalaat Chalo So Jaayein.
  






