Add Poetry

Char Din Ki Zindagi

Poet: uzma khan naji By: dana, karachi

Char Din Ki Zindagi Hai Aqal Ganwaty Kyun Ho
Fani Dunya Hai Is Dunya Se Dil Lagaty Kyun Ho

Umer Bitany K Liye To Aik Jhopri Hi Kafi Hai
Sang-E-Marmar Se Buland Imaarat Phir Banaty Kyun Ho

Apny Masail Se Khud Hi Nibatna Seekho
Gheron Ko Apna Haal Sunaty Kyun Ho

Jitna Mayassar Hai Is Par Qanaat Kar Lo
Chadar Say Aagay Paoon Phelaty Kyun Ho

Aagah Apni Mot Say Koi Bashar Nahi
 Phir Asbab So Bars K Banaty Kyun Ho

Ishq Karna Bhi Har Aik K Bas Ki Baat Nahi
Nakam-E-Ishq Pe Mot Ko Galy Lagaty Kyun Ho

 Zindagi Ko Aik Saleeqy Se Guzaro Naji
 Zindagi Nemat Hai Isy Yoon Hi Ganwaty Kyun Ho

 

Rate it:
Views: 3778
15 Nov, 2007
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets