Add Poetry

Child Labour

Poet: Nasba By: Nasba Nazeer, faisalabad

Wo Ik Nokhaiz Shaakh Hai
Jo Hathon Main Liye Aalaat
Gareebi Ki Qaba Oray
Bari Baychaargi Se
Kisi Gaari Ki Janib Barhta Hai
Kabhi Nazuk Se Hathon Main
Kisi Ko Masoomiyat Se Khana Pesh Karta Hai
Parhnay Ki Aarzo Lay Kar
Kabhi Bartan Wo Dhoota Hai
Kabhi Wo Hath Phela Kar
Tumharay Pass Ata Hai
Bohot Dhutkaara Jata Hai
Bohot Lattaara Jata Hai
Magar Majboor Hai Wo B
Kasoor Us Ka Hai Sirf Itna,
K Us Ne Us Dehleez Pe Janam Liya Hai Jahan
Zubaan Zaiqay Ko Tarasti Hai
Wo Nazuk Phool Jis Ko Yunhi Pairon Ke Talay Dinbhar
Bedardi Se Roondha Jaat Hai
Jo Khwabon Main Kabhi Afsar
Kabhi Ustaad Bunta Hai
Hr Khasta Haal Ko Takta Or Ik Sawaal Karta Hai
Khudaaya Kya Hai Ye Mumkin
K Main Eesi Jaga Paaon
Jahan Se Hr Gareeb Insaan Ko Main Saaf Dikh Paon
Kuch Esa Kr Guzron K Ye Behti Aankhain Seraab Kr Jaon
Ye Dil Shaad Kr Daalon
Weeranay Aabaad Kr Dalon
Ummeedain Phir Se Joron Or Zindagian Aazaad Kr Paon
Magar Ye Tabhi Hai Mumkin
Jo In Masoom Hathon Se
Cheeno Tum Sabhi Aalaat
Parhao In Gulon Ko Or Sekhao In Ko Sb Aadaab
Kitaabain Do Inhain Or Phainkanay Do In Ko Ye Ozaar
Yahi Wo Quvvatain Hain Jo Bachain Ge Tum Ko
In Masaib Se Jo Ghayray Hain Watan Ko B
Tu Chooro Soochna Tum B Or Is Per Aml Kr Do Na
Sabhi Tafreeqain Bhula Kr Isay B Amr Kr Do Na

Rate it:
Views: 4100
29 Jun, 2008
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets