Diloon Ka Aks
Poet: Sikandar By: Sikandar Abbas Baloch, SargodhaDiloon Ka Aks Kaghaz P Bnana Chahta Hon
 Mein Hr Manzar Ka Pasmanzar Banana Chahta Hon
 
 Kisi Aik Rang Ya Khatt Ki Kmi Rehti Hay Us Mein
 Wo Aik Tasveer Jo Aksar Banana Chahta Hon
 
 Wahan Bazaar He Bazaar Bantay Ja Rahay Hain
 Jahaan Chota Sa Mein Aik Ghar Banana Chahta Hon
 
 Jahaan Mey Hon Wahan Koi Kisi Sey Kam Nhi Hy
 So Apny Aap Ko Kam Tarr Banana Chahta Hon
More General Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 