Add Poetry

Diloon Pay Mohar Hai

Poet: Shabeeb Hashmi By: Shabeeb Hashmi, Al-Khobar K.S.A

Dum Dar Sitaray Pay Tasawar Ki Mohar Hai
Yaqeen Ankh Say Ojahal Aur Diloon Pay Mohar Hai

Abb Kaisay Chupayen Uss Nadan Kay Honar
Har Zakham Pareshan Aur Laboon Pay Mohar Hai

Tarekey Kay Rishtoon Main Hai Wehshat Ki Amezash
Hai Raat Ki Seyahi Aur Sitaroon Pay Mohar

Jabb Mooj Thi Darya Main Tu Thi Ass Bhi Baki
Abb Pani Ki Rawani Main Toufanoon Ki Mohar Hai

Woh Aik Agg Thi Roshan Joo Jalati Thi Sahar Ko
Abb Suraj Howa Paband Ujalay Pay Mohar Hai

Hai Waqat-E-Nezah Uss Nay Kiya Aitraf Gunah Ka
Abb Touba Nahi Baki Darwazay Pay Mohar Hai

Woh Joo Aik Shair Moyaser Tha Howa Tahleel Hawa Main
Abb Ghazloon Pay Hain Pahray Alfazoon Pay Mohar Hai

Hain Khoof Ki Fiza Main Tarashay Howay Buut Sub
Abb Zuban Bhi Kati Hoi Aur Hatoon Pay Mohar Hai

Rate it:
Views: 745
27 Aug, 2010
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets