Tum Na Mili To Kaam Ye Kar Jaayenge Ek Din
Kha Kar Kasam Ye Kehte Hain K Mar Jaayenge Ek Din
Udne Do Na Chedo Inhe Parwaaz Ka Haq Hai
Nadaan Parinde Hain Ghar Jaayenge Ek Din
Dono Taraf Se Zulam Ki Ab Inteha Hui
Masoom Jo Bachche Hain Wo Darr Jaayenge Ek Din
Nafrat K Beej Bo Ke Fasal Zulam Ki Na Kaat
Warna Isi Aag Mai Jal Jaayenge Ek Din
Na De Kadam Kadam Pe Sahara Bhale Hume
Hum Bhi To Insaan Hain Sambhal Jaayenge Ek Din
Tu Koshishein Kiya Kar K Mujhko Yakeen Hai
Dushmano K Dil Bhi Peeghal Jaayenge Ek Din
Mushkilon Ka Daur Hai Mana Waqt Hai Bura
Ummeed Hai Din Tere Badal Jaayenge Ek Din
Aulaad Ko Na Koss Ye Nafarmaan Hai To Kya
Khotey Hi Sahi Sikke Ye Chal Jaayenge Ek Din
Main Tanghaal Bohat Hun Abhi Jaane Se Na Rok
Waqt Gar Acha Hua "Shamsul" To Ghar Aayenge Ek Din