Wo Jo Gaoun Ujar Geya Hai
Wo Udar Mera Makan Hai
Us Se Ab Milne Jaana Hai
Jis Mein Meri Jaan Hai
Is Saal Apne Gaoun Jaana Hai
kuch Logo Se Millna Hai
Kuch Qabro Pe Jana Hai
Yaadon Ka Jo Khazana Hai
Us Ko Ab Lootna Hai
Dastan Likhni Hai Kahani Mein
Ik Neya Moor Lana Hai
Main Ne Yaad e Hijar Mein Likha Hai
Kuch Logo Ko Sunana Hai
Bagh Ko Ab Kiya Mali Se
Wo Bagh Tu Kab Ka Ujar Geya Hai
Kuch Pate Torne Hain
Kuch Lakriyon Ko Jalna Hai
Ab Us Darakht Se Matlab Kiya
Jis Ka Phaal Mitha Tha Kabhi
Wo Kab Ka Gir Chuka
Ab To Uski Sahkhon Ko Katwana Hai
Usman Ne Apne Laafzon Ko
Shayari Ki Mala Banya Hai
Uska Jo Naam Hai
Wo Ab Badnam Hai