Add Poetry

Gulaab

Poet: J By: Junaid Taj, KARACHI

Chand Chehron K Firozaan The K Naamon K Gulaab
Shaakh-E-Mazgan Pe Mehakte Rahe Yaadon K Gulaab

Teri Zaibaaie Salamat Rahe Ay Qamate Dost
Zaib-E-Poshaaq Rahenge Mere Zakhmon K Gulaab

Ji Utthi Khaak Nami Pa K Mere Ahskon Ki
Khil Rahe Hain Mere Gul Main Naaye Khuwabon K Gulaab

Usne Chuma Meri Aankho Ko Sehr-E-Daam Our Phir
Rakh Gaya Mere Sarhane Mere Khuwabon K Gulaab

Koun Chuu Kar Inhain Guzra K Khily Jate Hain
Itne Sarshar Tu Pehle Na The Honton K Gulaab

Dupeiher Shaam Hoi Shaam Shab-E-Tar Hoi
Aur Khilty Rahe Khilty Rahe Baaton K Gulaab

Sarhad-E-Noor Pe Is Tarhan Say Khushbon Ponchi
Chaand Phoolon K Howay Our Bane Taaron K Gulaab

Rate it:
Views: 752
27 May, 2008
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets