Gum Hogya Jese Is Ankh Ka Pani Bhi

PoetRizwana shaikh Submitted byRizwana Shaikh
Text size

Woh Qoh-E-Qaf Ka Qissa, Pariyon Ki Kahani Bhi
Gum Hogya Jese Is Aankh Ka Pani Bhi

Wo Dil Ka Machal Jana Har Bat Pe Aksar
Wo Tor K Rakh Deni Har Zid Ki Nishani Bhi

Wo Mitti K Khilonon Mein Din Ka Guzar Jana
Behoshi Ki Wo Nend, Khuabon Ki Rawani Bhi

Wo Pholon Ki Mohabbat Mein Kanton Se Ulajh Jana
Wo Ankhon Ki Munderon Mein Jazbon Ki Tawani Bhi

Wo Kache Aik Angan Mein Bondon Ka Baras Jana
Surkh Phoolon Ka Wo Pairhh, Mehkti Hoi Rat Ki Rani Bhi
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied