Add Poetry

Halwey manday likh di Teri taqdeer mei hum ney

Poet: Purki By: M.hasan, Karachi

Kon Aayega Ab Isey Bhujaney Ko
Apney Hi Gar Ko Aag Laga Dee Hum Ney

Medea Pr Taleem Ka Charcha To Bohot Hey
Haqeeqat Mei Isey Karobar Bana Dia Hum Ney

Gareeb K Liye Ilm Ka Husool Ab Mumkin Nahi Raha
Hr Cheez Ko Bohot Hi Mushkil Dia Hum Ney

Galee Galee School Or Madresey Khool Kr
Ilm K Nam Pr Jahalat Phaila Dia Hum Ney

Jb Koi Qomi Nisab Hi Na Ho Sb K Liye Aik
Masoom Bachoo Ko B Bigaar Dia Hum Ney

Apni Security Pr Jb Lagaye Lakhoo Dollar
Qoom Ki Security Kia Khak Karni Hum Ney

Apney Ilaj K Liye Roz London America Bhagain
Qoom Ko Medicines Tak Faraham Na Kia Hum Ney

Ab To Qoom Amno Sukoon Ko B Tarasney Lagay
Qom Ko 65 Saloo Sey Bewaqoof Banaya Hum Ney

Itni Bedardee Sey Mulk-O-Qom K Wassail Lootay
Is Tarah K Hukmaraan Kabi Na Dekhey Hum Ney

Apni Ayyashee K Liye Qarzey Le Le Kr
Qom Ko Khoob Maqrooz Banaya Hum Ney

5 Saal Ki Muddat Hamei Chain Se Guzaar Leney Do
Kesey Kesey Mansoobey Advance Mei Banaye Hum Ney

Kis K Paas Waqt Hey Yahaa Qoom K Masail K Liye
Kitney Armanoo Se Investment Kia Hey Hum Ney

Jitna Maal Hum Ney Lagaya Hey Wasool Kr Leney Do
Kia Pata Hukoomat Kho Dey Apni Nadani Se Hum Ney

Abi Muhlat Hi Nahi Qom K Dukh Dard Sunney Ka
Isi Liye To Hoshrubaa Mehengayee Ki He Hum Ney

Roze Roze Kisi Na Kisi Chakkar Mei Daal Kr
Qoom Ko Khoob Phansa Rakha Hey Hum Ney

In Ko Or Taqseem Dar Taqseem Karo Mullwoo
Halwey Maanday Teri Taqdeer Mei Likh Di Hum Ney

Inki Qismat Mei Hein Eik Dusrey Ka Gala Katna
Tum Ko Chupkey Sey Dollar Se Nawaza Hum Ney

Tum Apney Toond Or Bachoo Ki Fikr Karo
Is Liye Aapko Dinning Table Pe Bithaya Hum Neya
 

Rate it:
Views: 414
25 Feb, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets