Hamari Her Ik Ada Mein Tum Ho

PoetWaqas Bhutt Submitted byWaqas Bhutt
Text size

Hamari Her Ik Ada Mein Tum Ho
Hayat Mein Tum Qaza Mein Tum Ho

Khushi To Koi Na De Skay Tum
Hamari Her Ik Saza Mein Tum Ho

Jo Karna Chaha Na Kar Skay Hum
Hamari Her Ik Khatta Mein Tum Ho

Wafa Ko Hum Ne Suna Bahut Hai
Hamari Her Ik Jafa Mein Tum Ho

Shazia Tumhein Her Jaga Hai Paya
Zameen Pe Tum Ho Fiza Mein Tum Ho

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied