Hawa_E_Tark_E_Taaluq Chali Hai Dhiyan Rahe
Magar Ye Baat Hamary Hi Darmiyan Rahe
Gila Tujh Se Nahi Baam_O_Dar Ki Veerani
Khuli Fiza Mein Bhi Hum Log Be_Amaan Rahe
Tere Aseer Mizaj Aashna_E_Mosam Hain
So Teri Qaid Mein Reh Kar Teri Amaan Rahe
Shikast_E_Jaan Pe Hai Jajdeed_E_Aitebar Ki Mohar
Jo Doob Kar Bhi Tere Saahilon Ka Maan Rahe
Wo Barg Jin Pe Ruton Ke Azaab Utray They
Shajar Katt Ke Bhi Mousam Ke Tarjumaan Rahe
Too Apnay Haq Mein Gawahi Kahan Se Laye Ga
Teri Taraf Se Agar Hum Bhi Bad_Gumaan Rahe