Add Poetry

Himat

Poet: Aliazmat Udass By: ALIAZMAT, Multan

Ankhon Say Log Pa Gay Meray Dil Ka Raz
Afsoos Teray Gham Ki Hifazat Na Kar Saka

Ik Khowab Us Kay Samnay Dum Toor Ta Raha
Afsoos Mera Maseha Koi Karamat Na Kar Saka

Us Nay Na Mujh Ko Visal Ki Nemat Adda Ki
Bay Sood Main Bhi Us Ki Ibadat Na Kar Saka

Paka Ghara Tha Pass Magar Phir Bhi Woh Udass
Na Janay Kiun Darya Ko Par Kar Nay Ki Himat Na Kar Saka

Rate it:
Views: 718
15 Apr, 2008
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets