Add Poetry

Hum Milay Hi Kyun They

Poet: Muniba Noor By: Zunaira, sialkot

Koi Be Sabab Tu Nahi Milta
Kisi K Milny Ka Amny Samny Aany Ka Koi
Maqool Thoos Jawaz Tu Hota Hai
Tum Sey Milny K Baad Kuch Lamhey
Munjmind Ho Gey Meri Ankho Mein
Waqt Guzerta Jaa Raha Hai
Yadein Reh Gai Bato Mein
Un Kahi Bato Ka Un Suni Bato Ka Malal
Dheery Dheery Mery Khawab Nager Ki
Dewaro Mein Shaqaf Karny Laga Hai
Lamhey Beet Rahy Hain Muger Main
Thehry Munjmind Lamho Ki Qaidi Banti Jaa Rahi Hoon
Tum Sey Mil K Mujy Laga Tha
Tum Tu Sirf Mery Ho Meri Zindgi Ka Hasil
Mera Muqader Meri Ankho K Sitaro Mein Basny Waly
Main Kuch Lamho Ko Khush Ho Rahi Thi
Tum Achanak Ney Moor Ko Ho Liey
Mery Khiyalat Be Rabt Hony Lagy
Meri Soch Meri Zid Saber Ki Hadood Ko Paar Karny Laagi
Shitud E Dukh Sey Meri Daein Aankh Sey
Do Ansoun Tapakny Lagyye
Saboot Hai Mery Gum Ka Meri Anna Ki Haar Ka
Zabt Ki Akhiri Haado Ka
In Do Ansoun Ko Aout Sey Ye Uljan Sulja Rahi Hoon
Mera Tuj Sey Milna Tera Muj Sey Milna
Youn Hi Be Sabab Tha Tu Phir Hum Mily Hi Kyun They

Rate it:
Views: 464
24 Sep, 2008
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets