Pinjare Mein Band Parindei Ko Kehtei Suntei Hein
Hum Woh Nahin Gin Gin Kar Sans Jo Liya Kartei Hein
Mojon Ke Shor Ko Tum Suna Kartei Ho
Hum Woh Nahin Sar-E-Aam Jo Kehtei Phirtei Hein
Gosha-E-Kalb Se Parei Tum Raha Kartei Ho
Hum Woh Nahin Zarb Jo Diya Kartei Hein
Jab Jantei Hi Nahin Tum Bhool Jatei Ho
Hum Woh Nahin Bhool Jo Jaya Kartei Hein
Humein Maghroor Dekh Kar Tum Muskuratei Rehtei Ho
Hum Woh Nahin Bay-Rabt Jo Dikhai Diya Kartei Hein
Kion Nazron Ke Tarazoo Mein Tum Tola Kartei Ho
Hum Woh Nahin Pus Jo Nazar Aaya Kartei Hein
Aur Iskei Mein Ye Kehna Chahoon Gi K Jinko Ye Ghazal Pasand Ati Hei, Ya Phir Jo Behtar Ya Phir Lihknei Mein Maharat Rakhtei, Wo Is Ghazal Mein Jo Bhi Khamiyan Ya Phir Ghalatiyan Mehsoos Kartei Hein, Iskei Barei Mein Mujhe Agha' Karein Takei Mein Behtar Likh Sakoon. Shukriya.