Add Poetry

Huyee Sham Unka Khayal Aagaya

Poet: mohd asif firdous By: mohd asif firdous, hyderabad

Huyee Sham Unka Khayal Aagaya
Laboon Pe Phir Unka Hi Naam Aagaya

Woh Nadi Ke Kinare Woh Chand Ke Sahare
Guzare The Kuch Shab Woh Saath Hum Tumhare

Wahi Pal Du Pal Ka Aaj Hisab Aagaya

Huyee Sham Unka Khayal Aagaya
Laboon Pe Phir Unka Hi Naam Aagaya

Woh Sardi Ki Raaten, Woh Garm Hamari Saanse
Woh Meethi Baaten, Woh Lambi Mulakhaten

Meri Janeman Ka Aaj Salaam Aagaya

Huyee Sham Unka Khayal Aagaya
Laboon Pe Phir Unka Hi Naam Aagaya

Woh Palke Jhukana, Woh Tera Muskurana
Woh Sajde Mein Rab Se Mujhe Tera Mangna

Teri Dua Ka Aaj Asar Aagayaa

Huyee Sham Unka Khayal Aagaya
Laboon Pe Phir Unka Hi Naam Aagaya

Yeh Na Thi Teri Kismath Firdous, Firdous Tujhe Miljaye
Firdous Ki Dua Ka Asar Khuda Ki Rehmath Hai

Rate it:
Views: 633
15 May, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets