Ik bazam saji thi sham k waqt

PoetShehryar Ahmad Khan Niazi Submitted byShehryar Ahmad Khan Niazi
Text size

Ik bazam saji thi sham k waqt
Ik khuwab sohana Yaad aya

Tum Mera Rasta Taktay ho,
Betaab Deewana Yaad Aya..

Jab Saawan ki barsaat hue,
Har boond giri dil par meray,

Yad aya Sawan wo mujh ko,
Wo bheeg jana yaad aya..

Pichly pehr me jaag uthna,
Phir neend ka ojhal ho jana,

Is tarah yad tumhari ka,
Raton ko satana yaad aya..

Ishq me dar dar phirna or,
Kabhi aashiq ka Jogi ban'na,

Kabhi ishq ghulami or kabhi,
Andaaz Shahana Yad aya..

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied